Monday, February 27, 2012

«*» RUKHSANA«*» Zindagi Be-Rang Badi Ab Be-Noor Nazar Aati Hai

 


Teri Yaad Aati Hai Aur Aankh Bhar Aati Hai,
Zindagi Be-Rang Badi Ab Be-Noor Nazar Aati Hai,
Sach Hai Ki Jooth Phir Badla Hai Humsafar Tune,
Udi-Udi Si Tere Shahar Se Khabar Aati Hai,
Yun To Raat Ke Baad Subah Hoti Hai Hamesha,
Ab Shab-E-Hizra Hai Dekhoon Kya Sahar Aati Hai,
Aane Wali Har Ghadi Aati Hai Khaali Hath,
Na Jaam Lekar Na Wo Lekar Ke Zehar Aati Hai.

Hindi Version

तेरी याद आती है और आँख भर आती है,
ज़िन्दगी बे-रंग बड़ी अब बे-नूर नज़र आती है,
सच है की जूठ फिर बदला है हमसफ़र तुने,
उडी-उडी सी तेरे शहर से खबर आती है,
यूँ तो रात के बाद सुबह होती है हमेशा,
अब शब्-इ-हिज्र है देखूं क्या सहर आती है,
आने वाली हर घडी आती है खाली हाथ,
न जाम लेकर न वो लेकर के ज़हर आती है।
 

rana
Abhi toh haath mein jaam hai
Tohba kitna kaam hai
Kabhi mili fursat toh 
Bhai dekha jayega
Duniya ke baarey mein  Socha jayega

http://groups.yahoo.com/group/Jawani_Diwanee/ join

__._,_.___
Recent Activity:
      
VISIT RUKHSANA FM ONLINE RADIO
http://www.freewebs.com/rukhsanafm   

Enjoy your stay at Rukhsana Group.

Moderators Rukhsana Group:
Aika Rani, Mumtaz Ali, Sitara Ansari, Lilly, Akhtar,
Contact us at: Aika_Rani@Yahoo.Com
Rukhsana-owner@yahoogroups.com 
**********************************                      
.

__,_._,___